Monday, October 19, 2015

BENEFIT OF BAY LEAF

http://indianspicesfactory.comWhat is Bay leaf?

These fragrant leaves with pointed ends are used in their dried form. These are used in curries and rice preparations. 

Benefit of Bay leaf 

Tej Patta ka sevan niyamit roop se karne se diabetes type 2 ka khatra kum hota hai. Isko powder ke form mai istemal karke roj upyog karne se yeh blood glucose, triglyceride aur cholesterol ke level ko kum karke diabetes type 2 ke khatre ko bhi niche lane mai madad karta hai.
Mukhya taur par Bay leaves ka powder banakar thoda thoda use apne khane mai istemal karna diabetic logo ke liye bahut faydemand hai.
Tej Patta mai ek tarah ka enzymai hota hai jo kabj, acidity aur pet ki gadbadi se rahat dilata hai. Yeh aapki pachan shakti ko badata hai. Subah jo aap chai pite hai usmai thoda sa tej patta dalkar iska kadha banakar sevan kare.

Tej Patta mai fighto nutrients hote hai we aapke dil ke karya karne ki kshamta ko sahi aur swasthya tarike se karwakar heart attack ki sambhavnao ko kum karte hai. Tej Patta ko aap 300 liter pani mai 3 gram Tej Patta aur 3 gram gulaab ke phool ki pattiya dalkar kadha jesa bana le, fir usko peene se dil ki bimariya bhi kum hoti hai.

Sardi khasi aur flu jesi bimariyo mai bhi rahat dilata hai. Iska matlab yeh hai ki shwas sambandhi problems mai bhi hum Tej Patta ko use kar sakte hai. Do se teen pattiya lijiye Tej Patta ki aur ise pani mai ubaal le. Fir usmai ek towel ko acchi se tarah se bhigokar apne chest par rakhne se sardi khasi jesi taklife dur hoti hai.

Bukhar hone par bhi Tej Patta ka kadha banakar peene se bahut aaram milta hai.
Agar aap gathiya jesi bimari se grasit hai to castor oil or bay leaf oil ko sath milakar gathiya ke dard wali jagah par lagaye. Aapko kuch hi der mai sujan aur dard se rahat milegi.

To know more about  BAY LEAF check this link http://indianspicesfactory.com or any questions email us at info@indianspicesfactory.com 

No comments:

Post a Comment